Friday, December 19, 2014

जब बचपन तुम्हारी गोद में आने से कतराने लगे---------

A tribute to Peshawar tragedy

Jab bachpan tumhari goud mein
aaney se katrane lage
Jab maa ki kokh se jhankti zindagi
bahar aaney se ghabrane lage
Samjho kuch ghalat hai

Jab talwarein phoolon par
zor aazmane lagein
Jab masoom ankhon mein
khauf nazar aane lage
Samjho kuch ghalat hai

Jab oos ki boondon ko
hatheliyon pe nahin
hathiyaron ki nok par
theherna hoJab
nanhe nanhe talwon ko
aag se guzarna ho
Samjho kuch ghalat hai

Jab kilkariyan sahem jayein
Jab totli boliyan khamosh ho jayein
Samjho kuch ghalat hai
Khuch nahin bahut kuch ghalat hai
Kyonki zor se barish honi chahiye thi
Poori duniya meinHar jagah tapakne chahiye the
aansooRona chaiye tha upar wale ko
Aasman sePhoot phoot karSharm se jhukni chaiye thein insaani sabhyata ki gardaneinShok nahin soch ka waqt hai
Matam nahin sawalon ka waqt hai
Agar iske baad bhi sar utha kar khada ho sakta hai insaanToh samjho kuch ghalat hai.

By:-Prasoon Josi